IMEI Number Kaise Pata Kare sabhi jante hai. par i sure ki aap me se kuch ko IMEI Number Kya Hai ke bare me jankari nahi hogi. App koi bhi phone kharide. sasta ya mehnga, Branded ya china , Smartphone ya Internet modam sab me ye hota hai.
Ye ek aisa number hai jo sabhi mobile ka kisi dusare mobile se alag hota hai. Jub bhi apne new mobile kharida hoga. tab apne dekha hoga ki ye number IMEI mobile ke box or receipt likha hoga. Jub bhi aap apne mobile ko service center repair karane le gaye hoge.
tab bhi apne dekha hoga ki waha bhi is number ko note kiya jata hai warranty or identity ke liye. Kya hota hai ye number. Yah kisi bhi mobile phone ya network device me kiyu hota hai. Aaiye jaane iske bare me dtails me.
In this post apko IMEI full form in hindi me bataunga. Isse kisi bhi mobile, tablate, USB Modam and kisi bhi Mobile networking device me kiyu dala jata hai. Aur sath hi ye kaise kaam karta hai uske baare aapko bataunga.
Read Also – Mobile Internet speed Check Kaise Kare Hindi Me
विषय-सूची
IMEI Number Kya Hai – What Is IMEI Number In Hindi
IMEI ka full form international mobile equipment identity hota hai. ( हिंदी में अंतर्राष्ट्रीय मोबाइल उपकरण पहचान संख्या होती है। ) Yah apko kisi bhi tarah ke cell phone , USB modam or jis kisi bhi device jisme mobile sim ka use hota hai Chahe apka network GSM ya CDMA network ho usme milegi.
Standard IMEI Number 15 digit ka hota hai. Iske sath kuch additional check number add kiye jate hai. 2nd IMEI/SV (SV means Software Version) 16 digit ka hota hai. par ye sirf naye mobile phones me hi hote hai. ye numbero ki madad se device ko block bhi kiya ja sakta hai.
Agar apka Mobile Phone chori ho gaya to is number ki help se local Service Provider ko Complane kar ke aap apne number ko block bhi karwa sakte hai. Is number ka use Police chori ke phones ka pata lagane ke liye karti hai.
Kiya apne kabhi socha hai ya dimag me yah question aaya hai. Ki police, crime department, cbi, cid etc kisi mobile ki location ka pata kaise laga lete hai. Yah sab hota hai isi number ke dwara. Kisi bhi mobile ki location janne ke liye two method hai.
- GPS ( global positioning system ).
- Second method best aur important hai. IMEI number se Mobile ka pata lagana.
IMEI Number Kya Hota hai – IMEI Number Mobile Me Kaha Hota Hai
Kisi bhi Mobile networking divice ya phone me battery ke piche 15 digite ke code likhe hote hai. unko hi IMEI number kaha jata hai. Aap isse apne mobile me ussd code dial karke ya mobile settings me jaan sakte hai.
Agar aap IMEI ko decode kare to serial number, mobile ke modal number or apka mobile kaha hai jagah ke bare me jan sakte hai.
IMEI Number Ke Fayde – Importance Of IMEI Number :
90% mobile users ko yah bhi pata nahi ki unke phone ka ye kya hai. Aur na unko pata hai ki IMEI number kis kaam me aata hai. Par me apko bata du ki apke liye apke device ka IMEI pata lagana bahut importent hai. or usse hamesa ke liye yaad rakhna bhi.
- Agar apka mobile chori ho gaya hai. to iski madad se Kisi bhi mobile ki location ka pata lagaya ja sakta hai.
- is number ki madad se police kisi bhi criminals ko pakd sakti hai.
Kisi Bhi Mobile Me IMEI Number Kaise Check Kare – How To Check IMEI Number In Hindi :
Kisi bhi mobile ya device ka IMEI number check karna chahte hai to aap asani se pata laga sakte hai. Me niche apko IMEI number pata karne ka tarika bata raha hu.
Yaad rakhe :- Agar apke pass single sim wala mobile hai to apke mobile IMEI number ek hi hoga. or agar Dual SIM Mobile hai to usme 2no slot ke alag alag IMEI Number honge.
1. USSD Code
Apne mobile phone ke 2no slot me bari bari se *#60#.number dial kar ke bhi is number ko jaan sakte hai. Par yah code purane mobiles me hi kaam karta hai. naye phones ke liye tarike alag ho sakte hai.
2. iOS (iPhone, LTE/3G iPad)
Apko iske Settings > General > About menu me jana hoga waha apko ye number mil jayega.
3. Android
Android ke liye bhi apko Setting > About Phone me jana hoga. waha apko iski details mil jayegi.
4. Older Sony or Sony Ericsson
Iske liye ye kare Enter “*Right* Left Left *Left * on the Keypad
5. Blackberry or Newer Sony Erricsson
Apko phone ke Options menu me Status par jana hai waha apko IMEI milega.
IMEI.info website par jakar pata kar sakte hai ki apke phone ke IMEI number se apko kiya kiya jankari milti hai.
Read Also – Pan Card Ka Number Check Kaise Kare Asaan tarika
IMEI Number Apne Mobile Me Kaise Pata Kare
Dekha jaye to sabhi Mobile Phone me IMEI Number ko mobile setting me ja kar khoj sakte hai. Agar apko upar bataye gaye tarike se bhi IMEI number nikalne me dikkat aa rahi hai. to apke pass bas ek yahi tarika bachta hai. us mobile ke battrey ke niche dekhna hoga. is tarah aap apne mobile ke IMEI Number ko locate kar sakte hai.
Aapko me suggestions dunga ki aap apne mobile ka IMEI number jarur yaad rakhe ya kahi note kar ke rakh le. ye kabhi bhi kahi bhi kaam aa sakta hai.
To dosto ab aap logo ko IMEI Number Kiya Hai aur IMEI Number Kaise Pata Kare ke bare me puri jankari mil gayi hogi. Agar apko is bare me kuch puchna hai ya apko koi baat samajh nahi aayi to aap comment kare apke sabhi savalo ka jawab me khusi se dunga.
IMEI number Kya Hai. What is IMEI Number in Hindi ke bare me apne dosto or social site ke bare me share jarur kare. Taki sabhi logo ko iske bare me jankari mil sake. or jub bhi unka mobile ya koi device gum ya chori ho jaye to turant iski madad se khoja ja sake.
Read Also –