Agar aapko Bill Pay, DTH aur Online Mobile Recharge Karne Ka Tarika Nahi aata, toh aaj hum Paytm Se Recharge Kaise Kare ki jankari batane ja rahe hai.
Note bandi ke bad se hi paytm india ki popular E-Wallet service ban gayi hai. Mobile online recharge karna, DTH recharge karne ke liye ya fir Bill pay karne me sabse adhik iska use ho raha hai. Bharat sarkar khud internet se cashless transaction karne ko bol rahi hai.
hum sabhi ko pata hai, paytm mobile recharge karne wala apps hai. Par kai logo ko ye nahi pata ki Paytm Se Recharge Karne Par Cashback Milta Hai. Aap online shopping ya market se koi product kharidne ke liye iske dwara bill payment karne me offer code ko use kar sakte hai.
Aap is wallet se kharidari ya recharge ke liyepromo code ka use kar sakte hai. Apke wallet me wapas kuch money add ho jayegi. Cashback offer use karke Paytm Se Recharge Kaise Hota Hai aap is post ko padhne ke bad jaan jayenge.
Read Also – Paytm Se Bank Me Paise Kaise Transfer Kare
विषय-सूची
- 1 Paytm Se Online Mobile Recharge Kaise Kare?
- 2 Paytm Wallet Se Recharge Karne Ka Tarika
- 3 Step #1: Paytm.com Par Jaaye
- 4 Step #2: Mobile Recharge Ka Option Chune
- 5 Step #3: Mobile Number Details Enter Kare.
- 6 Step #4: Promo Code Apply Kare –
- 7 Step #5: Payment Kare –
- 8 1. Use Debit Card –
- 9 2. Use Net Banking –
Paytm Se Online Mobile Recharge Kaise Kare?
Agar aap Paytm Wallet Se Mobile Recharge Kaise Kare sikhna chahte hai, to sabse pahle to apko isme apni id banana hoga.
- Sign up karne ke liye apne android mobile se google play store par jakar paytm app install kare.
- Agar aap PC or Laptop user hai to direct paytm.com ko open karke apna account bana sakte hai.
- “Paytm Se Mobile Recharge Karne Ke Liye Bank Account Me Balance Hona Jaruri Hai”.
- “Aapke pass Debit Card, ATM Card, Credit Card ya Net Banking Activate hona chahiye”.
Paytm Wallet Se Recharge Karne Ka Tarika
Agar apka id is par nahi bani toh bi aap ye steps follow kare. Bina login bhi aap paytm se mobile recharge kar sakte hai. Iske liye neche bataye gaye sabhi method waise hi kaam karenge.
Step #1: Paytm.com Par Jaaye
Apna Paytm account login kare. Agar abhi tak apne account nahi banaya hai to yaha click kar ke iski jankari le sakte hai.
Account me login hone ke baad aage ki steps ko follow kare.
Step #2: Mobile Recharge Ka Option Chune
aapka postpaid ya prepaid jo bhi number ho uske liye Mobile ke option ko click karna hai.
Step #3: Mobile Number Details Enter Kare.
- Apka mobile number Prepaid ya Postpaid hai to wo select kare.
- Jis mobile number par recharge karna hai wo number enter kare.
- Operator name slelct karna hai.
- Jitne rupaye ka recharge karna hai. wo amount isme daale.
- Agar aap apne number ke liye best recharge plane ke bare me janna chahte to isme click kar sakte hai.
- Fast forword par tabhi tick kare jub apke paytm wallet me recharge karne ke liye paise add ho.
- Proceed to recharge ke option par click kare. Aap payment karne ke process par pahuch jayenge.
Step #4: Promo Code Apply Kare –
Agar aapke pass koi promo code hai to usko submit kar apply kar de. Isase aapke wallet me kuchh paise refund mil jaate hai.
Step #5: Payment Kare –
Agar apke wallet me paise hai, to Paytm Se Mobile Recharge karne me 2 minute se bhi kam samay lagta hai.Aap apna ATM, Debit Card, Credit Card aur Net Banking se direct Payment kar sakte hai.
1. Use Debit Card –
Debit card or credit card use karke mobile recharge karne ka ek jaisa tarika hai. Paytm par debit card se mobile recharge karne ke liye jaise hi aap proceed to recharge par click karenge apke samne 3 option aayega debid card, credit card or net banking.
- Debit card par click karna hai.
- Enter debit card number me card par jo 16 digit ka number hai wo dalna hai.
- Expirydate card me likha hai or CVV card ke piche 3 digit me hota hai yaha submit kare.
- Mobile me balance dalne ke liye pay now ke button par click kare.
2. Use Net Banking –
Paytm se kaise mobile recharge kare? Internet se recharge paytm use karke net banking se karne ki steps follow kare.
- Net Banking me jaye.
- Kuch popular banks ke name samne diye gaye hai. inme agar apka account hai to select kare.
- Agar apka bank popular bank me na mile to yaha click karke bank list se select karna hai.
- Apne phone me balance dalne ke liye last me pay now option click kare.
Abhi aapne jana Paytm Se Recharge Kaise Kare In Hindi Step By Step 2020. Agar apko iske bare me puchna hai to comment kar sakte hai. apke sabhi sawalo ka jawab dene me mujhe khusi hogi. Is article ko jayda se jayda share karke hamari madad kare.
Read Also –